Pehla adhyaay...Ek adbhut anubhav...
Ek asaadharann vijay yaatra…
Haan…yeh kahani ek aise insaan ki hai…jinki jeevan gaatha
ko mere nazariye se dekhenge…toh ek asaadharann vijay yaatra hi dikhegi…
Dekh kar mann bechain ho utha…ki ikkisvi sadi ki is
chhal, kapat aur swarth se bhari duniya mein aaj bhi aise log hain…jinki taraf
dekhne ka mann karta hai…jinki kahani sunne ka mann karta hai…jinse bohot kuch
seekhne ka mann karta hai…
Mrs. Shrabani Deodhar…Yeh naam jitna adbhut hai…yeh khud
usse kai zyada adbhut hain…Inki kahani ka sirf ek adhyaay padhne par dil kitna
kuch kehne aur sunne ko aatur ho gaya…
Ek pal ko aapke paas sab kuch ho…aur agle hi pal pata
chale ki woh aapse door jaa raha hai…Kya haal hoga? Unki vijay yaatra ki kahani
is mod se shuru hui thi…
Itna kuch hone ke bavjood apne aapko ek parvat ki tarah
jode rakha…jo bahubali ki tarah mazboot bhi tha aur barf ki tarah sheetal bhi…Sehensheelta
aur dheerta ki ek adwitiya misaal…Jinhone zindagi jeene ka nazariya hi badal
diya…
Unke saath sirf kuch pal bitane se dil aur dimaag mein ek
naya josh…naya jazba…nayi lagan bhar gayi…agar aisa hua hai…toh hum toh keh
deten hain…hum aapko itni asani se chhodenge nahi…dil ke aise kone mein rakh
denge jahan se aap bahar hi na nikal payen…
Aaj ke zamane mein logon ko dusron se zyada unke bank
balance mein zyada ruchi hoti hai…meri maniye…toh ek din inke saath bitakar
dekhiye…kore kaagaz par likh ke dene ko taiyaar hun mein…aap zindagi ke mayne
seekh jayenge…
British ke zamane mein kahin kisi ko kohinoor mil gaya
tha…toh hahakar mach gaya tha…aaj mere paas ek nahi…3 anmol ratan hain…aur kisi ko
kanon kaan khabar bhi nahi…
Shrabaniji ne apne jeevan kaal mein bohot si ladaiyan jeeti
hain…haan…jazbaaton ki jung…aasan nahi hai jeetna…magar har jung jeetkar unhone
apne aapko sahi maiynon mein veer bana diya…har adchan ko paar kiya…aur aaj safalta
unki paaon ke dhool banne ko chhatpata rahi hai…
Aaj itna hi hai kehna…kyunki unse phir ek baar milne ki
hasrat jaagi hai…phir ek baar gaurvanvit hona hai…phir ek baar woh vijay yaatra
padhni hai…

Comments
Post a Comment